Window Ads by Google

Tuesday 16 April 2013

Lateef Salman's Tanhayee 2

 In The Name Of Allah Most Gracious Most Merciful

As Salamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu


Lateef Salman's Tanhayee 2 Continue


Date : 02-02-1998

    Kaash Waqt Ne Hamara Saath Diya Hota Mohabbat Khuda Ka Noor Hai Phir Dunia Isse Gilaazat Ka ambaar Koun Kahti Hai?

    Jaanu! Maine Tumhein Apni Saason Ke Pur Taar Mein Puru Diya Tha Meri Nas Nas Mein Sirf Tum Samai Thi Laikin Kisi Ne Na Samjha Yahan Tak Ke Tum Bhi Nahein Tum Be Qhasoor Ho Jaanu Aur Main Majboor

    Jaanu! Main Jab Kabhi Kisi Kaam Main Masruf Hota Hoon To Achanak Tera Chahra Meri Nigahon Mein Aajata Hai Phir Sonchta Hoon Ke

    Meri Jaanu Iss Waqt Kya Karrahi Hogi Aur Kis Haal Mein Hogi
Wagera Wagera Zahen Mein Aajata Hai

    Aur Main Ek Hi Baat Se Apne Dil Ko Tasalli Deleta Hoon Ke
Jaanu Meri Hai Aur Sirf Meri

    Aur Jab Kabi Main Iss Dehliz Per Baithta Hoon Jahan Se Main Tera Deedar Karta Tha Jab Taqdeer Ne Mujhe Tum Se Milaya Tha Main Saher Zada Tumhari Jadui Aakhon Mein Dobta Chalagaya Tha

Aur Tum Apni Reshmi Palkon Ki Chadar Gira Di Thin.

     Ab Shayed Iss Raat Ki Subha Nahein Hogi Jis Ke Andhere Mein Mere Khadam Bhatak Rahe Hain Kitna Bad Naseeb Hoon Jaanu Main Bhi Achanak Tum Se Juda Hogaya Mein Bahot Tanhaan Hogaya Hoon

    Jaanu Tumhe Yaad Hai Film ' Raaja Hindustani ' Dekhne Gaye The Tumhe Yaad Hai Hum Kitne Khush The Humne Dunia Bhar Ki Baatein Ki Thin Bahot Acha Laga Tha Jee Chahraha Tha Ke Ye Film Zindagi Bhar Chalta Rahe Aur Hum Isi Tarha Haath Mein Haath Dale Baithe Rahe

    Ab To Saare Haunsle Past Hogaye Hain Taqdeer Door Khadi Hans Rahi Hai Aur Sab Kuch Jahan Ka Wahin Rahgaya

    Jaanu Tamhe Yaad Hai 31December Ki Raat Mum Ne Jaag Kar Guzaari Thi Jab Tum Ne Mithayee Khilane Mujhe Apne Hatoon Se Mere Khareeb Aayi Thin Ghar Waloon Se Bach Kar Mere Pass Aana Tab Mujhe Bahot Acha Laga Tha Jee To Chaha Ka Tumhe Gale Se Laga Loon Aur Boson Ki Barish Tum Per Barsadon

    Per Itne Dinon Baad Jab Kabhi Tumhare Saat Guzre Howe Lamhe Tumhari Pyari Pyari Baatein Tumhara Masom Sa Chahra Yaad Aate Hain To Kisi Ko Khone Ka Ahsaas Jaag Uthta Hai

    Meri Zindagi Mein Sab Kuch Hai Jo Chaha Usse Paliya

    Sub Kuch Mila Hai Ek Nahone Se Tere
    Kitna Veeran Lagta Hai Gulshan Apna

    Agar Zindagi Mein Insaan Kisi Se Tawaqiyaat Na Badhein To Khush Rahta Hai Zindagi Masayel Ke Ambaar Tale Dabi Hue Hai

Iss Zindagi Ko Guzaar Ne Ke Liye Kahan Se Jigar Aye!

    Jaanu Meri Nigahein Hamesha Tera Taaqhub Karti Rahti Hain Koun Ke Nazar Ko Hamesh Achi Chiz Ko Aakhri Hadon Tak Dekhne Ki Khahish Rahti Hai

    Aur Nazron Se Ojhal Hojane Ke Baab Tumhara Tasaorati Paikar Zahen Mein Khushbo Bikherta Rahta Hai

    Mujh Per Taqriban Yehi Kaifiyat Tari Hue Thi

    Pata Nein Jaanu Insaan Ka Dil Bhi Laa Tadad Aarzowon Aur Tammannaowon Se Koun Bhara Rahta Hai?

    Jaanu Iss Ghar Ne Mujhe Wo Khubsurat Lamhaat Aur Yaadein Baqshin Huwi Hain Jo Meri Zindagi Ke Saath Saath Chaleingi

    Din Ba Din Teri Yaad Mein Izafa Hata Gaya Aur Ek Aisa Bhi Din Aya Ke Ek Roz Raat Ke Waqt Tere Ghar Ko Aaya Tha Ke Shayed Jaanu Ka Didaar Hojaye Aur Maine Tujhe Dekha Tariki Ki Wajhah Se Chahra Nazar Nahein Araha Tha Socha Ke Jaanu Ka Didaar To Huwa

    Aur Main Soncha Ke Main Jaanu Ke Itne Khareeb Ho Kar Bhi Main Usse Mil Na Saka Baat Na Kar Saka Aur Main Bas Khamushi Se Tera Didaar Karta Raha Ek Tere Didaar Ki Khushi Aur Dusri Taraf Tujh Se Mil Kar Bhi Na Milne Ka Gham Per Kya Karein Soncha Ke Jaanu Ka Didaar To Mujhe Naseeb Huwa

    Kisse Kya Khabar ! Itne Majboor Honge
Khareeb Aakar Bhi Hum Bahot Dur Honge

Judai Iss Tarha Se Huwi Kabhi Mil Na Paye
Jaise  Kisi  Se  Khuda  Rooth  Jaye

Jaanu Jaanu Dekho Meine Tumhe Rulaya Ab Taqdeer Mujhe Rularahi Hai

Jaanu Mujhe Apne Pass Bulalo Jaanu Dekho Main Kitna Akela Hogaya Hoon Jaanu Kahan Khogaye Ho Tum Main Tadap Raha Hoon Tumhara Lateef Salman Kitna Tanhaan Hai Aakar Dekho To Chale Aao Ya Mujhe Apne Pass Bulalo Main Tumse Juda Nahein Rahsakta

    Phir Mujhe Thoda Sa Hosh Aaya To Soncha Ke Shayed Aisa Kabhi Nahein Hoga Jo Waqt Guzar Chuka Hai Phir Wo Mah O Saal Wapas Nahein Aasakte

    Usne Wafa Na Ki To Badi Baat Kya Hai
    Majburiyaan Hongi Wo Dil Ka Bura Nahein

    Jaanu Wo Din Jis Din Tune Mujhe Thukraya Tha Mere Assaab Shal Ho Chuke The Mere Veeran Kamre Ke Bahar Zindagi Apni Lai Mein Tharak Rahi Thi

    Sadak Per Zonronse Bhagti Gadiyon Ka Khel Jaari Tha

    Karobaar E Zindagi Jaari Thi Insaano Ka Hujoom Shor Aur Hangamaa Sab Kuch Wahi Tha

Dunia Badli Thi To Sirf Lateef Salman Ki

Ek Bada Toofan Aaya To Sirf Lateef Salman Ki Zindagi Mein

Mere Gulabi Khaubon Ke Pahrohan Raakh Hochuke The

Aur Haqeeqhat Ke Barhangi Apni Saffakiyon Ke Humrah Mere Jism O Jaan Mein Utar Chuki Thi

    Ab To Kuch Bhi Naa Bacha Tha

    Khawhishon Ka Shorida Samandar Manjumandh Hoke Rahgaya Khaub Dekhne Wali Aakhein Iss Khaufnaak Hadise Per Aasoon Se Bhari Padi Thi Main Hosh Mein Aakar Diwaar Ka Sahara Lekar Baitha Tha Iss Thahi Damani Per Phot Phot Kat Dukha Huwa Tha Ab Jaisa Bhi Matham Kiye Jana Kam Tha Kuch Pane Ke Liye Kuch Khon Padta Hai Magar Maine To Kuch Paye Bager Hi Sab Kuch Kho Diya Main Kab Gumaan Tha Ka Apni Khothi Khawhishon Ke Talatam Mein Sarshar Tha Main Jiss Taraf Badhraha Hoon Wo Manjil Nahein Balke

Sairaab Tha Dhokha Tha Fareb Tha Tanhayee Thi

    Maine Labaab Aasoon Se Bhari Iss Dar O Diwaar Ki Taraf Dekha Jaanu Ki Chahat Aur Khareeb Se Guzre Huwe Lamhon Mein Koi Mazammath Ke Pachtawe Ka Ahsaas Na Ubhra Ho Wo Meri Barbadi Ki Taraf Lamha Ba Lamha Badte Howe Khush Tha Main Niswaniyat Ke Waqhar Se Utar Kar Pasti Mein Baitha Tha

    Aur Main Isse Bhi Apni Kamiyabi Ki Manzil Samajh Raha Tha Aur Mujhe Kisi Gum Sugaar Ki Talaash Hone Lagi Jis Kadhon Per Apna Sar Rakh Kar Ro Sakon Mein In Jalte Aasoon Ko Pur Sukun Koi Tasalli Ke Do Lafz Jo Jalti Roh Per Dawa Ki Surath Mein Utre

    Per Mujhe Aisa Koi Nahein Mila Jo Mera Dard Samjhe

    Jaanu Ab Kuch Nahein Ho Sakta

Mohabbat Ka Saagar Suk Chuka Hai

Suraj Bujh Gaya Hai

    Itna Chahne Wale Kismat Waloon Ko Hi Mila Karte Hain

Afsos Tu Ne Mujhe Samjha Nahein Tu Ne Mujhe Jaana Nahein

    Jaanu Pani Hamesha Wahein Bahta Acha Lagta Hai Jahan Iska Rasta Ho Galat Raste Per Bahne Wala Thoda Thoda Pani Sook Kar Apna Wajud Mita Deta Hai

Abhi Kuch Din Lagenge

Haan Abhi Kuch Din Lagenge

Dil Aise Shaher Ke Pamal Hone Ka Manzar Bholne Mein

Abhi Kuch Din Lagenge

Thake Hare Howe Khaubon Ke Sahil Per Kahein Ummid Ka Chota Sa Ek Ghar

Baste Bast Rahgaya

Wo Ek Ghar Bholne Mein Abhi Kuch Din Lagenge

Magar Wo Din Hi Kitne Rahgaye Hain

Bas Ek Din

Dil Ki Luhe Mahfuz Per

Achanak Raat Utregi

Meri Benoor Aakhon Ke Khazano Mein Chupe

Har Khuwab Ki Takmeel Kardegi

Mujhe Bhi Khuwab Mein Tabdeel Kardegi

Ek Aisa Khuwab Jis Ke Daman Sad Chak Hain

Koi Mubarak Koi Raushan Din Nahein Tha

Abhi Kuch Din Lagenge

Haan Abhi Kuch Din Lagenge

    Na Jaane Ye Bebasi Ka Azaab Kab Tak Jhelna Padega?

    Shayed Umer Bhar

    Maut Se Kahein Ziyada Shikast Ka Azaab Dard Naak Hota Hai Ujad Aakhon Mein Kisi Ke Bujhe Howe Mazar Ki Diye Ka Dhowaan Samete Chahre Per Barsoon Ki Thakaan Aur Veerani Liye Howe Tha
   
    Ab Main Bakhi Ki Zindagi Nasur Ki Tarha Apne Sine Se Lagaye Guzaronga

Zindagi Mein Tanhayee Ka Dukh Ek Taraf Tera Dukh Ek Taraf Jaise Sahra Ki Jhulasti Hui Mitti Ke Liye Jun Ka Aag Ugalna Aziyat Naak Hota Hai Issi Tarha Bhi Meri Zindagi Ka Wajud Ban Chuka Hai

    Jaanu Iss Dunia Mein Kisi Ka Koi Nahein Hota Yahan Takke Apna Saya Bhai Kabhi Kabhi Apna Saath Chod Deta Hai

    Ab Jab Kabhi Apne Mazi Ki Taraf Palat Kar Dekta Hon To Zindagi Mein Pachtawe Ke Siwa Aur Kuch Nazar Nahein Aata

    Aur Zindagi Bhar Shayed Iska Ahsaas Hota Rahega


    Tu Jo Bichda To Sunsaan Nagar Lagta Hai

    Hai Shaher Apna Anjaan Magar Lagta Hai

    Kouf E Tanhayee Hai Mujh Per Musallat Aise

    Dil Dhadakta Hai To Dhadkan Se Bhi Dar Lagta Hai

    Na Koi Rasta Hai Na Koi Nishan E Manzil

    Bin Tere Zindagi Ek Anjaan Safar Lagta Hai

    Aa Zara Dekh Sahi Mere Ghar Ka Aalam

    Tu Jo Nahein To Veeran Khandar Lagta Hai

    Dard Ahbaab Se Itne Mile Hain Mujh Ko

    Ab To Apne Saaye Se Bhi Dar Lagta Hai

   
    Tanhayee By : Lateef Salman

www.lateefsalmans.blogspot.com

www.lateefsalman.wordpress.com

www.lateefsalman786.webnode.com

    No The End To Be Continud

Lateef Salman 9849330092 9848915063

No comments:

Post a Comment